Saturday 21 February 2015

The best sher ( couplet ) I like in the nazm (poem )of the great Urdu poet Josh Malihabadi given below are :
" Shaitan ek raat mein insaan ban gaye
  Jitne namakharaam the kaptaan ban gaye "

MATAM-E-AAZADI

Josh Malihabadi

shaakHein huiN do-neem jo thandi hawa chali
gum ho gayi shameem jo baade-saba chali
[do-neem= two parts, shameem=fragrance]

angreiz neH woH chaal ba-zoro-jafa chali
burpa hui baraat ke ghar meiN chala-chali

apna gala kHaroshe-tarannum se phat gaya
talwaar se bacha, to rug-e-gul se kat gaya

sikh ne guru ke naam ko butta laga diya
mandir ko birahman ke chalan ne gira diya

masjid ko shekH ji ki karamat ne dha diya
majnuN ne baRh ke parda-e-mahmil gira diya
[parda-e-mahmil= curtain of the palki (Laila's)]

ik su-e-zan ko gHalgHala-e-aam kar diya
maryam ko kHud masih ne badnaam kar diya
[su-e-zan=Lady, gHalgHala= talk of the town]

sikkoN ki anjuman ke kHaridaar aa gaye
sethoN kay kHaadiman-e- wafadaar aa gaye

khaddar pehan-pehan ke bud-avtaar aa gaye
dar par safedposh siyahkaar aa gaye

dushman gaye, to dost baney dushman-e-watan
kHil-at ki tah khuli, to baraamad hua kafan
[kHil-at= cloth of honour]

bartania ke kHas gHulamaan-e-kHanazad
dete thay lathiyon se jo hubba-e-watan ki daad

aik-aik zabr jinki hai ab tuk saroN ko yaad
woH I.C.S. ab bhi haiN kHushbakHto-bamurad
[zabr= wound, I.C.S.= bureaucrats, kHush...=happy & on their official posts]

shaitaan aik raat meiN insaan bun gaye
jitney namak-haram thay, kaptaan bun gaye

wahshat rava, anaad rava, dushmani rava
hulchal rava, kHurosh rava, sansani rava

rishwat rava, fasaad rava, rahzani rava
al-qissa har woH shai ki naqardani rava
[naqar..= things not supposed to be done]

insaan ke lahu ko piyo izne-aam hai
angur ki sharab ka pina haram hai
[ izne-aam= permitted]

chhayi hui hai zere-falak budhawasiyaN
aankheiN udaas-udaas, to muNh haiN dhuaN-dhuaN

mankey Dhaley huey haiN, to aithi huiN zabaaN
woH zauf hai ki muNh se nikalti nahin fugHaN
[ mankey= neck, zauf= weakness, fugHaN= sigh]

aik-dusrey ki shakl ko pehchanta nahiN
maiN kHud huN kaun, yeH bhi koi jaanta nahiN

footpath, kaarkHaney, mileiN, khet, bhattiyaN
girtey huey darakHt, sulagtey huey makaN

bujhtey huey yaqeen, bhaRhktey huey gumaaN
in sabsey uth raha hai, bagHawat ka phir dhuaaN

sholoN ke paikaroN se lipatney ki deir hai
aatishfishaN pahaRh ke phatney ki deir hai

woH tazaH inqilaab hua aag per sawar
woH sansanai aanch, woH udney lage sharaar

woH gum huey pahad, wo gHaltaN hua gHubaar,
ai bekHabar! Woh aag lagi, aag, hoshiyaar

baRhta hua fizaaN yeH qadam gaRhta hua
bhuchaal aa raha hai jo funkaarta hua

2 comments:

  1. " Shaitan ek raat mein insaan ban gaye
    Jitne namakharaam the kaptaan ban gaye "

    ReplyDelete
  2. Sir I heard this poem from H.E. Dr. Aziz Qureshi former Governor of Uttrakhand while i was his Physician at Rajbhawan !!! and i love it very much !!!!

    ReplyDelete