Tuesday, 21 February 2017

Aqaayad waham hai, mazahab khyaal-e-khaam
Faith is but superstition, religion an inferior idea
Since the dawn of time, human imagination has been imprisoned by these falsehoods
By the Urdu poet Sahir Ludhianvi

Aqaayad waham hai mazahab khayal e khaam hai
by Sahir Ludhianvi

aqaayad vaham hai
mazahab khayaal-e-khaam
hai saaqi
Azal se zahan-e-insaan
bast-e-auham hai saaqi
Haqiqat-aashanai asl mein
gum-kardah-rahi hai
urus-e-agahi paravardah-
e-abaham hai saqi
Mubarak ho zaifi ko khirad
ki falsafadaani
Javaani beniyaz-e-ibrat-e-
anjam hai saaqi
Abhi tak raaste ki pech-o-
kham se dil dhadakata hai
mera zauq-e-talab shayad
abhi tak khaam hai saaqi
Wahaan bheja gaya hun
chaak karne pard-e-shab
ko
jahaan har subah ki daaman
pe aks-e-shaam hai saaqi
Mere saaghar mein mai hai aur tere hathon mein barbat hai
Vatan ki sarzameen mein bhook se kohraam hai saaqi
Zamaana barsare paikar hai purhol sholon se
Tere lab par abhi tak naghma-e-Khayyam hai saaqi

No comments:

Post a Comment