Wednesday 7 January 2015

The Baazar

" चलो बाज़ार जाएँ और चंद अशिया खरीद आएँ
  सुना है इन दिनों  बाज़ार में हर शय मयस्सर है
  मोहब्बत और वफ़ा , जज़्बात और ईमान बिकते हैं
  बड़े माक़ूल दामों पर यहां इनसान बिकते हैं
  कहीं तहज़ीब बिकती है ,कहीं औसाफ बिकते हैं
  फ़क़त तफ्तीश ही क्या अद्ल और इन्साफ बिकते हैं
  यह सरकारी मुलाज़िम, यह सिपाही, और वह अफसर
  यह दरोगा, वह मुन्सिफ़ सब  यहां एक से एक बढ़कर
  सभी की कीमतें तय हैं , सभी खिदमत को हाज़िर हैं
  सभी के इख्तियारत और रसूख आप ही के खातिर हैं
  उसूलों को बटोरें, ज़ाब्तों को अपने घर लाएं
  ज़रुरत के मुताबिक़ इनको बदलें, फैज़ फरमाएं
  हर एक सूबे में हर क़स्बे में यह बाज़ार लगते हैं
  परेशान ग़मज़दा महरूम नादार लगते हैं
  क़ुबूल अल्लाह मेरे गर तू मेरी एक दुआ कर ले
  तो इन बदबख्त बाज़ारों को एक पल भर में फ़ना कर दे  "

मजीद  मेमन, वरिष्ष्ठ अधिवक्ता , बम्बई उच्च न्यायालय एवं उच्चतम न्यायालय
तथा उर्दू शायर

" Chalo baazar jaayen, aur chand ashiya khareed aayen
   Suna hai in dinon baazar mein har shay mayassar hai
   Mohabbat aur wafa, jazbaat aur imaan bikte hain
   Bade maqool daamon par yahaan insaan bikte hain
   Kaheen tehzeeb bikti hai, kaheen ausaf bikte hain
   Faqat tafteesh hi kya, adl aur insaaf bikte hain
   Yeh sarkari mulazim, yeh sipahi, aur wof afsar
   Yeh daroga, woh munsif, sab yaahaan hain ek se ek badhkar
  Sabhi ki qeematen tay hain, sabhi khidmat ko haazir hain
   Sabhi ke ikhtiyaarat aur rasookh aap hi ke khatir hain
   Usoolon ko batoren, zaabton ko apne ghar laayen
   Zaroorat ke mutabiq inko badlen, faiz farmaayen
   Har ek soobe mein, har qasbe mein yeh baazar lagte hain
   Pareshaan ghamzada mehroom sab naadar lagte hain
   Qubool Allah mere gar tu meri ek dua kar le
   To in badbakht baazaron ko pal bhar mein fana kar de "

  Eminent senior advocate, Bombay High Court and Supreme Court,
 and Urdu poet Majeed Memon

No comments:

Post a Comment