Sunday, 15 June 2014

Sahir Ludhianvi in Jashn-e- Ghalib, 1969

"Jis ahad-e-Siyasat ne yeh zinda zubaan kuchli
Us ahad-e-siyasat ko marhoomon ka gham kyun hai ?
Ghalib jise kahte hain Urdu ka hi shayar tha
Urdu par sitam dhaakar Ghalib par karam kyun hai ? "


"Jin shahron mein goonji thi Ghalib ki nava barson
Un shahron mein ab Urdu benaam-o-nishaan thehri
Azadi-e- kamil ka ailaan hua jis din
Matoob zubaan thehri ghaddaar zubaan thehri "