by Ibn e Insha
kuchh kehne ka waqt nahi hai kuchh na kaho khamosh raho
ae logon khamosh raho, haan ae logon khamosh raho
sach achchha hai, par is ki jadon main, zehr ka ek pyala bhi hai
pagal ho ? kyun nahaq hi "suqraat" bano ? khamosh raho
haq acha par is ke liye koi aur marey to aur achchha hai
tum bhi kya "mansoor" ho jo sooli pai charho ? khamosh raho
un ka yeh kehna sooraj hi dharti kai pherey karta hai
sar ankhon par, sooraj hi ko ghoomne do, khamosh raho
garm ansoo aur thandi aahen, man main kya kya mausam hain
is bagiya ke bhed na kholo, sair karo, khamosh raho
ankhian moond kinare baithoon, man ke rakhoon band khewar
insha ji lo dhaga lo, aur lab si lo, khamosh raho